Apne Pradip mishra ji ka shiv puran suna hoga jisme unhone santan ya santati ki prapti ke liye safed aakde ki jad prayeg me lane ka bohot hi saral upay bataya hai. Par uske liye apko safed aakda kya hota hai aur safed aakde ki jad kaha milegi aur sathi me usko marathi me kya kehte hai yani uska marathi meaning pata hona chahiye (agar aap maharashtra se hoto, yah meaning pata hone se apko safed aak ki jad prapt karne me badi hi aasani hogi.)
safed aakda in marathi
safed aakda ko marathi me Ruyi kaha jata hai. safed aak ke ped ko Rui, Rui che jhad or Rui che Zad bhi kaha jata hai. Tathpi safed aakde ki jad ko Marathi me Pandharya Rui che mul ya Safed Rui chi mule aise bhi kaha ja sakta hai. Kai bar safed aak ki jad ka meaning Pandharya Rui chya jhadache mul is taur se bhi le sakte hai. अकड़ को बहुत सारे नामों से जाना जाता है, जैसे अखू, मदार, चूल्हे की रानी, सोवळ, सफेद अख, सफेद दुदुरी, खोलिया, रूई, सफेद मदार, सफेद अखोटा, सफेद मदारी, सफेद अक्कार।
safed aak ki jad meaning in marathi
Aam taur par safed aakde ki jad pana koi bohot muskil karya nahi hai. Yaha podha ya ped (safed aakde) badi hi asanise paya jata hai. Yah ped Maharashtra ke sabhi ilako me asani se dekha ja sakta hai. Kisi bhi vyakti ko Marathi me Rui che vruksha or Rui che Jhad puchne pe we apko iss safed rang ke ped ko dhundne me madat kar sakte hai.
Safed aakde ka scientific name – Calotropis procera yah hai. Parantu aam log ise safed aakde ya fir White aakda nam se pehchanate hai. yaha ped ka rang White hone ki vajah se ise safed aakda yaha naam diya gaya hai. Iski visheshta yah hai ki, iske patte evam phool bhi safed color ke hi hote hai. Ye hi nahi, balki iske phool chote, dikhneme sundar to hote hai, kintu unme koi bhi sugandh nahi hota. Yah ped sukhi jagaho par bhi paya jata hai.
safed aakde ki jad aur safed aakde ke paudhe ka upayog ayurvedic aushadhiyon aur medicine banane ke liye bhi kiya jata hai. safed aakde ki Pattiya, dudhi ras aur beej upayogi hote hai. White aakde के पौधों के अंगों का उपयोग आयुर्वेद में विभिन्न रोगों के इलाज के लिए किया जाता है, जैसे कि खांसी, फेफड़ों के रोग, गठिया, डायबिटीज, त्वचा रोग, विष निकालने और अन्य संक्रमण रोग।
safed aakde ki pattiya moti aur golakar hoti hai. In pattiyon ki mala ko aksar apni Hanuman ji ke gale me chadhaya hau dekha hoga. Safed aak ko dharmik dhrishti se bohot mahatva prapt hai. Kai purano me yah varnan hai ki safed aakda ya Rui ka ped yah Bhagawan Suryadev ki kanya hai. Is paudhe ki puja Bhagavar Surya ki Kanya Arka ki roop me bhi hoti hai. Yah kaha jata hai ki safed aakda ki jad me Bhagwan Ganesh Ji ka vas hota hai, is karan se log aksar safed aakda ke ped ko ukhadte nahi hai. Kai log safed aakda ki jad ke pas sham me diya jalana bhi pasand karte hai. safed aakda ki jad ke pas diya jalana lakshmi prapri ke daravaje khol deta hai aise kai logo ki dharana evam vishwas hai. Itna hi nahi, Shani ki dhaiya ya Sadesati me safed aakda ke phoolon ki bani mala bhagwan Hanuman aur Bhagwan Shanidev ko arpan karna bhi bohot shubh aur faladayi hota hai.
Santan sookh pane ke liye bhi Pandit Pradeep Ji Mishra ne safed aakda se sambandhit kai sare upayon ka varnan kiya hai. yah sabhi upay apko shiv puran ki katha me har roz dekhne ka mauka mil sakta hai. Pandit Pradeep Ji Mishra dwara batayi gayi koi vastu ya cheez ya jadibooti ka marathi meaning agar aap nahi janate to aap hamare website pe aake uska marathi me meaning ya for use marathi me kya kaha jata hai ye jan sakte ho.
safed aak ki jad kaise nikale aur kaha milegi
safed aak ya white aakde ki jad aap 3 prakar se prapt kar sakte ho:
- Sukhe hue safed aakde ke ped se nikalna: Iske liye mai apko yah salah dunga ki aap sukhe hue aak se hi jad prapt kare. safed aakde ke upday karne ke liye kisi bhi jinda ped ko keval jad milegi is liye hani na pahuchaye ya kate nahi.
- Jadi booti bechane wale se khareedna: Aap safed aak ki jad apke najdiki bazar me jakar bhi kharid sakte ho. Bohot se log hote hai jo jadi bootiyo ke bech rahe hote hai. Ap unke pass se safed aakda aur uski Jab khareed sakte ho, waha apko wah jad avashya mil jayegi. Yadi un logo ke pass na bhi ho, to bhi aap unhe bol kar apne liye upalabdha kara sakte ho. Yah log aksar adiwasi ya vano me jadi bootiya aur aushadhi ped paudhe jutane ke liye bhatakte rehte hai.